July 27, 2024
Chicago 12, Melborne City, USA
romantic poetry

Romantic Hindi Shayaris – Collection of 20+ Romantic Hindi Shayaris

Are you looking for a collection of Hindi Romantic Shayaris to impress your love? Do you want to express your love but don’t have the right wording?

If yes, then you landed on the right page.

Love is a beautiful feeling and its expression is very important to make it successful.

But many people don’t know how to express their feelings to their lovers without overdoing it.

In this post, Sadipoetry.com’s team is sharing the collection of beautiful Hindi Romantic Shayaris which can be useful for you to express your love precisely.

So, let’s start reading this lovely post filled with romantic Shayaris.

Iss Se Zyada Tujhe Aur Kitna Qareeb Laaun Main,
Ki Tujhe Dil Mein Rakh Kar Bhi Mera Dil Nahi Bharta.
Haqikat Na Sahi Tum Khwab Bankar Mila Karo,
Bhatke Musafir Ko Chaandani Raat Bankar Mila Karo.
Kabhi Lafz Bhool Jaaun Kabhi Baat Bhool Jaaun,
Tujhe Iss Kadar Chahun Ki Apni Jaat Bhool Jaaun,
Kabhi Uthh Ke Tere Paas Se Jo Main Chal Dun,
Jaate Huye Khud Ko Tere Paas Bhool Jaaun.
Aur Yeh Zindagi Hum Se Rooth Jaaye,
Ek Doosre Ke Pyar Mein Kho Jaayein Iss Kadar,
Ke Hum Saare Ghamon Ko Bhool Jayein.
Tum Mil Gaye To Mujh Se Naraj Hai Khuda,
Kahta Hai Ke Tu Ab Kuchh Mangta Nahi Hai.

Mohabbat Panap Rahi Hai Dil Mein Tere Liye,
Jubaan Se Na Sahi Tum Nigaahon Se Samajh Lo.
Meri Baahon Mein Bahekne Ki Saza Bhi Sun Le,
Ab Bahut Der Mein Aazad Karunga Tujhko.
Alfaz Ki Shakl Mein Ehsaas Likha Jata Hai,
Yahan Par Paani Ko Pyaas Likha Jata Hai,
Mere Jazbat Se Wakif Hai Meri Kalam Bhi,
Pyar Likhu To Tera Naam Likha Jata Hai.
Ek Sapne Ki Tarah Tujhe Saja Ke Rakhun,
Chaandni Raat Ki Najro Se Chhupa Ke Rakhun,
Meri Taqdeer Mein Tera Saath Nahi Hai Varna,
Saari Umar Tujhe Apna Bana Ke Rakhun.
Tum Nahi Hote Ho To Bahut Khalta Hai,
Pyar Kitna Hai Tumse Pata Chalta Hai.
Umra Nisaar Doon Teri Uss Ek Nazar Pe,
Jo Tu Mujhe Dekhe Aur Main Tera Ho Jaaun.
Tujh Mein Baat Hi Kuchh Aisi Hai,
Dil Na Diya Tujhe To Jaan Chali Jayegi.
Udaas Lamhon Ki Na Koi Yaad Rakhna,
Toofan Mein Bhi Wajood Apna Sambhal Rakhna,
Kisi Ki Zindagi Ki Khushi Ho Tum,
Bas Yehi Soch Tum Apna Khayal Rakhna.
Ek Shab Gujri Thi Tere Gesuon Ki Chhav Mein,
Umr Bhar BeKhwaabiyan Mera Muqaddar Ho Gayin.
Mere Wazood Mein Kaash Tu Utar Jaye,
Main Dekhun Aayina Aur Tu Nazar Aaye,
Tu Ho Samne Aur Waqt Thhehar Jaaye,
Aur Tujhe Dekhte Huye Zindagi Gujar Jaye.
Ye Lakeerein Ye Naseeb Ye Kismat,
Sab Fareb Ke Aayine Hain,
Haathon Mein Tera Haath Hone Se Hi,
Mukammal Zindagi Ke Mayne Hain.
RuBaRu Milne Ka Mauka Milta Nahin Hai Roj,
Isliye Lafzon Se Tum Ko Chhoo Liya Maine.
Chupke Se Aakar Is Dil Mein Utar Jate Ho,
Saanson Mein Khushboo Ban Ke Bikhar Jate Ho,
Kuchh Yoon Chala Hai Aapke Pyar Ka Jadoo,
Sote Jagte Bas Tum Hi Najar Aate Ho.
Shaam Hote Hi Tere Pyar Ki Paagal Khushboo,
Neend Aankhon Se Sukoon Dil Ka Chura Leti Hai.
Saamne Baithe Raho Dil Ko Qaraar Aayega,
Jitna Dekhenge Tumhein Utna Hi Pyar Aayega.
Fiza Mein Mahekti Shaam Ho Tum,
Pyar Ka Chhalakta Jaam Ho Tum,
Seene Mein Chhupaye Firte Hain Tumhein,
Meri Zindagi Ka Doosra Naam Ho Tum.
Maine Kab Tujhse Zamane Ki Khushi Maangi Hai,
Ek Halki Si Mere Lab Pe Hansi Maangi Hai,
Saamne Tujhko Bithhakar Tera Deedar Karoon,
Jee Mein Aata Hai Jee Bhar Ke Tujhe Pyar Karoon.
Manzil Bhi Tum Ho Talaash Bhi Tum Ho,
Ummeed Bhi Tum Ho Aas Bhi Tum Ho,
Ishq Bhi Tum Ho Junoon Bhi Tum Hi Ho,
Ehsaas Tum Ho Pyaas Bhi Tum Hi Ho.

“Samne Baithe Raho Dil Ko Qaraar Aayega Jitna Dekhenge Tumhe Utha Hi Pyar Aayega”

Sadipoetry.com try to help its readers to express emotions through Shayris and Poetries.

Instead of Urdu Shayaris, we published multiple Hindi Shayaris in this post for our readers who love to read the Hindi language.

Hindi is one of the most popular languages and Hindi songs are known for their expression of love.

As you have read multiple Hindi Romantic Shayaris in this post. So, share your favourite Hindi Shayari from this collection in the comment section which impressed you the most.

Also, share this post with your friends and family who love to read Hindi Shayris. It will make them happy.