December 2, 2024
Chicago 12, Melborne City, USA
Urdu Poetry

Ab Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkaan Jana Ahmed Faraz Ghazal

Ahmad Faraz was a legendary Pakistani Urdu Poet. He was born in the year 1931 and died in the year 2008.

He was awarded prestigious Pakistani Awards like Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Imtiaz by the Government and the President of Pakistan of that time.

He wrote many hard-hitting Ghazals and Poetries in the Urdu Language at his time.

In this post, Sadipoetry.com is sharing the Sad Urdu Ghazal of Ahmed Faraz “Ab Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkaan Jana”.

This Ghazal is amongst one of the most popular Ghazals of Ahmed Faraz Shab.

Let’s read this Ghazal by legendary Urdu Poet Ahmed Faraz.

اب کے تجدید وفا کا نہیں امکاں جاناں
یاد کیا تجھ کو دلائیں ترا پیماں جاناں
یوں ہی موسم کی ادا دیکھ کے یاد آیا ہے
کس قدر جلد بدل جاتے ہیں انساں جاناں
زندگی تیری عطا تھی سو ترے نام کی ہے
ہم نے جیسے بھی بسر کی ترا احساں جاناں
دل یہ کہتا ہے کہ شاید ہے فسردہ تو بھی
دل کی کیا بات کریں دل تو ہے ناداں جاناں
اول اول کی محبت کے نشے یاد تو کر
بے پیے بھی ترا چہرہ تھا گلستاں جاناں

آخر آخر تو یہ عالم ہے کہ اب ہوش نہیں
رگ مینا سلگ اٹھی کہ رگ جاں جاناں

مدتوں سے یہی عالم نہ توقع نہ امید
دل پکارے ہی چلا جاتا ہے جاناں جاناں

ہم بھی کیا سادہ تھے ہم نے بھی سمجھ رکھا تھا
غم دوراں سے جدا ہے غم جاناں جاناں

اب کے کچھ ایسی سجی محفل یاراں جاناں
سر بہ زانو ہے کوئی سر بہ گریباں جاناں

ہر کوئی اپنی ہی آواز سے کانپ اٹھتا ہے
ہر کوئی اپنے ہی سائے سے ہراساں جاناں

جس کو دیکھو وہی زنجیر بہ پا لگتا ہے
شہر کا شہر ہوا داخل زنداں جاناں

اب ترا ذکر بھی شاید ہی غزل میں آئے
اور سے اور ہوئے درد کے عنواں جاناں

ہم کہ روٹھی ہوئی رت کو بھی منا لیتے تھے
ہم نے دیکھا ہی نہ تھا موسم ہجراں جاناں

ہوش آیا تو سبھی خواب تھے ریزہ ریزہ
جیسے اڑتے ہوئے اوراق پریشاں جاناں
احمد فراز

Ab Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkaan Jana Ahmed Faraz Ghazal

Ab K Tajdeed-e-Wafa Ka Nahin Imkan Jana
Yaad Kia Tujh Ko Dilayen Tera Payman Jana

Yunhi Mausam Ki Ada Dekh K Yaad Aaya Hai
Kis Qadar Jald Badal Jaate Hain Insan Jana

Zindagi Teri Ata Thi So Tere Naam Ki Hai
Hum Ne Jaise Bhi Basar Ki Tera Ehsan Jana

Dil Ye Kehta Hai K Shayad Hai Fasurda Tu Bhi
Dil Ki Kia Baat Karen Dil To Hai Nadan Jana

Awal Awal Ki Mohabbat K Nashe Yaad To Kar
BePiye Bhi Tera Chehra Tha Gulistan Jana
Akhir Akhir To Ye Aalam Hai K Ab Hosh Nahi
Rag-e-Mina Sulag Utthi K Rag-e-Jaan Janan
Muddaton Se Yehi Aalam Na Tawaqqo Na Umeed
Dil Pukare Hi Chala Jata Hai Janan Jana

Hum Bhi Kia Saada Thy Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha
Gham-e-Dauran Se Juda Hai Gham-e-Janan Jana

Ab K Kuch Aisi Saji Mehfil-e-Yaaran Jana
Sar-ba-Zanu Hai Koi Sar-ba-Gareban Jana

Har Koi Apni Hi Awaz Se Kaanp Uthta Hai
Har Koi Apne Hi Saaye Se Hirasaan Jana

Jis Ko Dekho Wohi Zanjeer-ba-Pa Lagta Hai
Shahr Ka Shahr Howa Dakhil-e-Zindaan Jana

Ab Tera Zikr Bhi Shayad Hi Ghazal Mein Aaye
Aur Se Aur Howe Dard K Unwaan Jana
Hum K Rothi Hoi Rut Ko Bhi Mana Lete Thy
Hum Ne Dekha Hi Na Tha Mausam-e-Hijraan Jana
Hosh Aaya To Sabhi Khwab Thy Reza Raza
Jaise Urte Howe Auraq-e-Pareshaan Jana
Ahmed Faraz

Ahmad Faraz was a legendary Pakistani Urdu Poet. He was born in the year 1931 and died in the year 2008.

He was awarded prestigious Pakistani Awards like Sitara-i-Imtiaz and Hilal-e-Imtiaz by the Government and the President of Pakistan of that time.

He wrote many hard-hitting Ghazals and Poetries in the Urdu Language at his time.

In this post, Sadipoetry.com is sharing the Sad Urdu Ghazal of Ahmed Faraz “Ab Ke Tajdeed-e-Wafa Ka Nahi Imkaan Jana”.

This Ghazal is amongst one of the most popular Ghazals of Ahmed Faraz Shab.

Let’s read this Ghazal by legendary Urdu Poet Ahmed Faraz.

Leave feedback about this

  • Quality
  • Price
  • Service

PROS

+
Add Field

CONS

+
Add Field
Choose Image